Wednesday 12 June 2019

Tera Sab Kuch Qubool Hai (Lyrics) Sad Urdu Ghazal | Best Collection Of U...


پتھر ہے تیرے ہاتھ میں یا کوئی پُھول ہے
جب تُو قبُول ہے ، تیرا سب کچھ قبُول ہے

پھر تُو نے دے دیا ہے نیا فاصلہ مجھے
سر پر ابھی تو پچھلی مسافت کی دھُول ہے

تُو دل پہ بوجھ لے کے ملاقات کو نہ آ
ملنا ہے اس طرح تو بچھڑنا قبُول ہے

تو یار ہے تو اتنی کڑی گفتگو نہ کر
تیرا اصول ہے تو میرا بھی اصول ہے

لفظوں کی آبرو کو گنواؤ نہ یوں عدیم
جو مانتا نہیں ، اُسے کہنا فضُول ہے

یہ وقت وہ ہے جب کہ انا موم ہو چکی
اس وقت کوئی آئے، کوئی بھی، قبُول ہے

آ کے ہنسی لبوں پہ بکھر بھی گئی عدیم
..جانے زیاں ہے یہ کہ خُوشی کا حصُول ہے

Pathar Hai Terey Haath Mein Ya Koi Phool Hai
Jab Tu Qubool Hai , Tera Sab Kuch Qubool Hai

Phir Tu Ne Diya Hai Naya Faasla Mujhey
Sar Par Abhi Tou Pichhli Musafat Ki Dhool Hai

Tu Dil Pe Bojh Lay K Mulaqaat Ko Na Aaa
Is Juram Say Tou Teri Judaai Qubool Hai

Tu Yaar Hai Tou Itni Karri Guftagu Na Kar
Tera Usool Hai Tou Mera Bhi Usool Hai

Lafzon Ki Aabru Ko Youn Gunwao Na Adeem
Jo Maanta Nahi , Ussay Kehna Fuzool Hai

Yeh Waqt Woh Hai Jab Ke’h Anaa Mom Ho Chuki
Is Waqt Koi Aaey , Koi Bhi , Qubool Hai

Aa K Hansi Labon Pay Bikhar Bhi Gai Adeem
Janey Ziyaan Hai Yeh Ke’h Khushi Ka Husool Hai..

No comments:

Post a Comment

Heart Touching Poetry 2017 - Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do “apne ehsas se mujhe sandal kar do” main sadiyon se adura hoon mukamal kar do n...