Monday 26 November 2018

Raqs Mein Raat Hai Badan Ki Tarah - Parveen Shakir - Urdu Poetry




رقص میں رات ہے بدن کی طرح
بارشوں کی ہوا میں، بن کی طرح

چاند بھی میری کروٹوں کا گواہ
میرےبسترکی ہر شکن کی طرح

چاک ہے دامن قبائے بہار
میرے خوابوں کے پیرہن کی طرح

زندگی، تجھ سے دور رہ کر، میں
کاٹ لوں گا جلا وطن کی طرح

مجھ کو تسلیم، میرے چاند کہ میں
تیرے ہمسراہ ہوں گہن کی طرح

بار  ہا  تیرا  انتظار  کیا
اپنے خوابوں میں ایک دلہن کی طرح

--------------------------------------------------------

Raqs mein raat hai badan ki tarah,
baarisho.n mein hawaa mein ban ki tarah

chaand bhi meri karwato.n ka gawaah,
mere bistar ki har shikan ki tarah

chaak hai daamane qabaaye bahaar,
mere khwaabo.n ke pairhan ki tarah

zindagi tujhse door rah kar main,
kaat loongi jalaawatan ki tarah

mujhko tasleem, mere chaand! Ke main,
tere humraah hoon gahan ki tarah

baarhaa teraa intizaar kiyaa,
apne khwaabo.n mein ik dulhan ki tarah

No comments:

Post a Comment

Heart Touching Poetry 2017 - Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do “apne ehsas se mujhe sandal kar do” main sadiyon se adura hoon mukamal kar do n...