Monday 26 November 2018

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Wo - Parveen shakir




DARWAZA JO KHOLA TO NAZAR AAYE KHARRE WOH,
HAIRAT HAI MUJHE, AAJ KIDHAR BHOOL PARRE WOH,
BHOOLA NAHIN DIL, HIJR KE LAMHAAT KARRAY WOH,
RAATEIN TO BARRI THEEN HI, MAGAR DIN BHI BARRE WOH,
KYUN JAAN PE BAN AAYI HAI BIGRRA HAI AGAR WOH,
USS KI TO YEH AADAT KE HAWAAON SE LARRE WOH,
ALFAAZ THEY US KE KE BAHAARON KE PEYAMAAT,
KHUSHBUU SI BARASNE LAGI, YOON PHOOL JHARRE WOH,
HAR SHAKHS MUJHE TUJHSE JUDA KARNE KA HWA’HAAN,
SUN PAAYE AGAR AIK TO DASS JA KE JARRE WOH,
BACHEY KI TARAH CHAAND KO CHOONAY KI TAMMANA,
DIL KO KOI SHAY DEDE TO KYA KYA NA ARRAY WOH,
TUFAAN HAI TO KYA GHAM, MUJHE AWAZ TO DI JIYE,
KYA BHOOL GAYE AAP MERE KACHAY GHARRE WOH..

دروازہ جو کھولا تو نظر آۓ وہ
حیرت ہے مجھے، آج کدھر بھول پڑے وہ
بھولا نہیں دل، ہجر کے لمحات کڑے وہ
راتیں تو بڑی تھیں ہی، مگر دن بھی بڑے وہ
کیوں جان پہ بن آئ ہے بگڑا ہے اگر وہ
اس کی یہ عادت کہ ہواؤں سے لڑے وہ
الفاظ تھے اس کے کہ بہاروں کے پیامات
خوشبو سی برسنے لگی،یوں پھول جھڑے وہ
ہر شخص مجھے تجھ سےجدا کرنے کا خواہاں
سن پاۓ اگر ایک تو دس جا کہ جڑے وہ
بچے کیطرح چاند کو چھونے کی تمنا
دل کو کوئ شے دیدے تو کیا کیا نہ اڑے وہ
طوفان ہے تو کیا غم ، مجھے آواز تو دی جاۓ
کیا بھول گۓ آپ میرے کچے گھڑے وہ


No comments:

Post a Comment

Heart Touching Poetry 2017 - Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do “apne ehsas se mujhe sandal kar do” main sadiyon se adura hoon mukamal kar do n...